Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka afsaana hua hai

Rishta tha tabhi to kisi bedard ne toda
Rishta tha tabhi to kisi bedard ne toda
apna tha tabhi to koi begaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ek din

Dil aap ke hote huye viraana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Bajte hain khayaalon mein teri yaad ke ghungroo

Kuchh din se mera ghar bhi paree-khaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Mausam ne banaaya hai nigaahon ko sharaabi

Jis phool ko dekhoon wohi paimaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
Badnaam mere pyaar ka afsaana hua hai
Deewane bhi kehte hain ke deewana hua hai
ANUP JALOTA BADNAM MERE PYAR KA LYRICS